Share This

AddThis Button

Feb 9, 2009

Valentine Shayari



Valentines Day Shayari


Har pal nazre unko dekhna chahe to aankhoan ka kya kasoor ?
Har pal khushboo unki aaye to saanso ka kya kasoor ?
Waise to sapne puch ker nahi aate ,
Per sapne hi unke aaye to raato ka kya kasoor ?




TUMHE CHAHNE WALE KAM NA HONGE,
WAQT KE SATH SHAYAD HUM NA HONGE,
CHAHE KISI KO KITNA BHI TUM PYAAR DENA,
LEKIN TUMHARI YAADON KE HAKDAAR SIRF HUM HONGE



Pyar Nibhana Jante Hai Hum

Teri Bheegi Palkon Se Aansoon Chura Lenge Hum,
Apni Yaad Se Tere Har Pal Ko Saja Denge Hum,
Pass Rahne Se Hi Pyar Sacha Nahin Kahlata,
Door Rah Ke Bhi Pyar Nibhana Jante Hai Hum.


Pyar ka rang


pyar ka rang holi se bhi gehra hota hai
do pyar karne walon ka joda sabse nyara hota hai
jo pyar ka dhaga ek baar toot jaye
to unka dubara judna namumkin hota hai


Mohabat ke bina

Mohabat ke bina zindagi fizool hai
Par mahobat ke bhi aapne ussol hai
Kehte hai milti hai mohabbat mein bahut ulfaate
Par aap ho mehboob toh sab kuchh kubul hai…


Yeh Nadani

Hui hum se yeh nadani,
Kay teri mehfil mein aa baithe
Ho kay zameen ki khakh
Aasman se dil laga baithe
Dil si cheez hai, dene ko hai de day
Magar koi Kabeel bhi to ho
Hum to jaan de kay bhi khush hain
Magar koi Kateel bhi to ho…


Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
us ke bina jiya nahi ja sakta.


Kitna pyar hai ?

Usne kaha mujh se kitna pyar hai
maine kaha, sitaron ka koi shumaar hai ?

Usne kaha k kon tumhain hai buhat aziz?
maine kaha k dil par jise ikhtiar hai

Usne kaha kay kon sa tuhfa hai mann pasand
maine kaha : woh shaam jo ab tak udhaar hai

Usne kaha kay k sainkaron gham Zindagi main hain
maine kaha k gham nahin, jab gham gusaar saath hai

Usne kaha kahan tak saath nibha o gay
maine kaha, jitnee ye saanson ki taar hai

Usne kaha mujh ko yaqeen aa a kis tarah?
maine kaha kay mera naam Aitbaar hai


Pyaar To Jindagi Ka

Pyaar To Jindagi Ka Afsana Hai ,
Iska Apna Hi Ek Tarana Hai ,
Pata Hai Sabko Milenge Sirf Aansu ,
Par Na Jaane Duniya Me Har Koi Kyu Iska Diwana Hai..


Dil Ki Kitab Mein

Dil ki kitab mein hai ek hi naam
Dil karta hai aapko har pal salaam
Agar aap ijazat de hume
Hum likh de aap par ek aur kalaam


Dil hum kisi ka dukahtay nahi,
Kisi ko bewajah satatay nahi,
Humari dosti per bahrosa rakhna,
Dost bana kar hum kesi ko bhulatay nahi.


Apni Ankhon Mein

Apni Ankhon mein Basakar tujh ko
Teri Ankhon mein Khud ko pana chahte hain
Duriyon ka Ehsas na ho jara bhi
Aise hum tujh mein Samana chahte hain
Bekhudi kuchh to kam ho meri Sanson mein
Madhosh teri Sanson ko Thamna chahte hain
Khamosh Fasana Apne Dil ka
Unke Lafzon mein Sunana chahte hain

No comments:

Post a Comment