Share This

AddThis Button

Sep 8, 2008

Dosti Shayari - 03


Dosti Shayari



Dost ko khona nahi chahte

Mushkilo se ghabra ke ab jeena nahi chahte,
Dur tumse hoke ab rahna nahi chahte,
Yun to dost bahot bane is zindagi mein,
Par tum jaise dost ko khona nahi chahte….
============================================

Rishto ki kitab

Rishto ki kitab ka cover hai Dosti,
Dosti se bani hai hamari Hasti,
Khoon ke rishto ki baat aap karte hai,
Hamare liye to Zindagi hai Aap Ki Dosti
=======================================

Dosti ki tadap


Dosti ki tadap ko dikhaya nahi jaata,
Dil me lagi aag ko bujhaya nahi jaata,
Kitni bhi doori ho dosti me,
Aap jaise dost ko bhulaya nahi jaata.
======================================

Jasda-e-dost nakam

Jasda-e-dost nakam nahi hone denge!
Aap ki duniya me shaam nahi hone denge!
Dosti ka har imtihan apne sar pe lenge!
Par aye dost,Aapko kabhi pareshan na hone denge!
===============================================

Dua karte hain

Dua karte hain hum Sarko jhukaye
Ae dost tu apni Manzil ko paye
Agar kabhi tere Raahon mein Andhera aaye
Roshni ke liye khuda hum ko Jalaye
=======================================

Hasraton ki Nigaaho

Hasraton ki Nigaaho pe sakht Pehra hai…
Na Jaane Kis Ummid pe yeh Dil tehra hai…
Teri Chaahaton ki Kasam, aye Dost…
Apni Dosti ka Rishta Pyaar Se bhi Gehra hai…
=========================================

Ek Dost bahoot yaad aaya

Aaj Rootha huwa ek dost bahoot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bahoot yaad aaya.
Meri aankho ke her ek ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.
Jo mere dard ko seene main chhupa leta tha
aaj jab dard huwa mujh ko bahoot yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tarh rehta tha
aaj kajal jo lagaya to bahoot yaad aaya.
========================================

Yeh Hamari Kismat

Yeh hamari kismat hai ki aap hame dost kahete hai
door hokar bhi yaad karte hai
waqat aane par hum bhi dikha denge
ke dosti ka hak kaise ada karte hai
=====================================

1 comment: