Share This

AddThis Button

Jul 21, 2008

Bewafa Shayari

Bewafa Shayari



pyar me aakhe zuban hoti hai

sachii baat to bezuban rehti hai
pyar mein dard mile to kaisa ghabrana
suna hai dard se pyar jawan hoti hai
aapke dilmein kya hai bata dijiye
yu khamosh rehkar na satiye
Tum bhi jano mein bhi janu
lahere aati hai jati hai
phir kyu likha naam mera kinare par
tum bhi jano mein bhi janu
dil na milte to mulakat aduri rehti
baat to hoti magar baat adhuri rehti
shukriya tera tere aanese ronak to badhi
nahi to yeh mehfil ek jasbat aduri rehti
tune apne daman mein chupaye mere aasu
nahi to akho ki barsaat adhuri rehti
ZINDAGI TO BEWAFA HAI EK DIN THUKRAYEGI MAUT HI EK SACCHI MEHBOOBA HAI( baki sab bakwaas)
EK DIN ZAROOR AAYEGI
Yeh Bhi Aadab Hamare Hain,
Tumhain Kya Malum Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum
Dil Ko Manana aGar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan
===============================================================

*Gam ka khazana*
Roye Hein Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala sacha Pyar Mila Hai
Guzar rahi hey zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua To Doosra Tayar Mila Hai
Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gam ka khazana jo isko beshumar mila hai
Wo kam nasib hain jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib hoon mujhe Intezar mil gaya Gam
===============================================================

*Ajnabi ke liye*
Mana ki ham bhula nahi paate unhe ek pal ke liye
par yu roya bhi nahi jaata ek pal ke liye
mila jo yu wo milkar bichhad gaya zindgi ke liye
unhe dil se nahi lagaya jaata dillagi ke liye
mana ki ye baat har kisi ko lagti hai sacchi
par har ajnabi nahi hote jamane mein bhulane ke liye
yu to khuda se jo maanga wo paya dua mein
par har dua kahan kabul hoti hai har kisi ke liye
wo aayega na lautkar fir kabhi ye jaante hain
fir bhi dil dhadkta hai aaj bhi usi ajnabi ke liye
===============================================================

*Yeh kaisa Pyaar tha*
Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha
Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe
Main phans gaya bhanwar main woh darya ke paar tha
Manzil kareeb aayi to tum door hogaye
Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha
Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan.
===============================================================

*Kayam abtak mujhme JAAN*
Humari baaton se ittefaq karoge kyon nahin
Main jo andheron me khada hun ik roushni liye
Ek ummid hai kayam abtak mujhme JAAN
main aasmaan bichhaunga tumhari zameen ke liye.
===============================================================


* Aansoo… *
Doston..
Aaj Ek nazm likhi .. jisse bahut jald post karunga..
Uss nazm ko likhte hue ek khayal aaya zehan mein
Ki Aansu hum sab ki zindagi mein kya jagah rakhte hain!!
Zaruri nahi ye hamesha gham ki nishani hon..
Kabhi kabhi ye uss jazbe ka ehsaas bhi kara dete hain
jisse hum Khushi kehte hain..
Ussi nazm ko likhte hue maine kuch lines
Ek khayal ki tarah likhi hain..
jo aap sab k saath share kar rahi hoon yahan
Kuch Deewane Aansu
Ishq ke daayre mein
Apna muqaam paa lete hain
Chahat ke kisson mein
Apni zindagi ka
Har hissa baha lete hain
Inhe hum kabhi
Jo mitaana chahein
Mohabbat mitne lagti hai
Inke Ehsaas Bina
Khushiyon ki aandhi mein
Wafayein bujhne lagti hain!!
===============================================================

*Intezar Ki Had*

Ek Ada Aapki Dil Churaane Ki
Ek Ada Aapki Dil Main Bus Jaane Ki
Ek Chehra Aapka Chaand Sa Ek Zid Humari Chaand Ko Paane Ki
Ishq kiya tujhse, mere aitbaar ki had thi
Ishq mein de di jaan, mere pyaar ki had thi
Marne ke Baad Bhi khuli thi aankhen, yeh mere intezar ki had thi.
===============================================================


*Patthar ki is duniya main*

Patthar ki iss duniya main
Sheeshe kay dil aksar toot jaya karte hai,
Aye dost, aankhe sambhalkar band karna,
Kyonki palkon ke beech bhi aksar khwab mit jaaya karte hai
===============================================================


*Abhi na jaao chorh ke…*

Mausam ka ishaara hai abhi na jaaiye
Tod ke yoon dil humara, na jaaiye !

Bahaar ke rang ghule hain fizaaon main
Bahaar ke aanchal se uth kar na jaaiye !

Zamane ki gardishen ruk to nahin jayengi
Dunya ki khatir humko chorh ke na jaaiye !

Jaane se aapke rooth ke baithe hain hum
Ab humko manane ki khatir hi na jaaiye !

Aankhon ki chamak humse chupate hain aap kyun
Aarzuon ne li hain angdaaiyan, abhi na jaaiye !
===============================================================


*Mohabat ke bina*

Mohabat ke bina zindagi fizool hai
Par mahobat ke bhi aapne ussol hai
Kehte hai milti hai mohabbat mein bahut ulfaate
Par aap ho mehboob toh saab kubul hai…
===============================================================

1 comment:

  1. A number of sites have come online recently that allow users to compose and send SMS messages via the Internet to mobile phones located anywhere in the world. Most are free and/or require

    ReplyDelete